How to protect your personal data on your Android phone


How to protect your personal data on your Android phone?

Aaj kal ke jamane me koi internet ke bare me nahi janta ho aisa mumkin nahi . Doston aaj ham aapse internet ki duniya ke kuch aise chijo se apko rubaru karwayenge jisko shyad bahut log jante honge aur kafi log nhi jante honge . Jaise jaise internet aur technology aage badh rhi hai waise waise Apke data ke chori hone ki alag alag tarike aate rehte hai to ham aaj apko yhi batane wale hai ki kaise aap apne Mobile ke data ko surakshit rakhenge. 

Mobile ko hack krna ya apka data churana itna bhi aasan nhi, par ha utna jyada mushkil bhi nhi hai ki koi apke data ko chori nhi kr skta. Aap is tarah se samjh lo ki maan lo kisi ne apka mobile liya aur usme koi si bhi ek aisi unknown app install kr diya aur bas apka mobile hack ho chuka rhega aur wo apki sari call aur message aur aap kya kya apne phone me kar rhe ho wo apki saari activity ko monitor krega aur apka har data uske pas rhega Wo chahe apke photos ho ya videos hi kyu na ho.

Ab aise me aap aisa kyaa kre ki koi apke phone ko hack na kar paaye aur aap apna data surakshit rakh paaye . 



Always Download Apps From Play Store.

Jaisa ki apko pta hoga play store se aap koi bhi app download kr skte hai jo sabse jyada safe mana jaata hai . Aise me aap kabhi bhi bahar se application ko download na kre. Play Store har app ko verify karta hai ki kya wo hamare users ke liye safe hai ya nahi uske baad ho wo Play Store pe app publish ho pata hai.


Why not download apps from unknown sources?

Agar aap bahar se google par search krke koi website se app download kr rhe hai to jaruri nhi ki har apps fake ho aur wo apka data chura ke bhut sare aise bhi website hai jo apko safe apps provide karte hai lekin yha baat aati hai apke safety ki . To kyuki apko pta nhi un website ke baare me jo apko genuine apps provide krte hai to isliye apko bahar kisi bhi website par se apps download krke Install na kre. Kbhi kabhi aisa hota hai ki Developer jo apko app provides krta hai wo usme modification krke badlaw kr deta kuch function ko jo aapke phone ke alag alag permission mangta hai aur aap app pe bharosa krke de dete ho . Fir uske baad wo apps apki data ko chori krte hai aur apko pata bhi nhi chalta.


Always keep your mobile password protected .

Bahut sare log sochte hai ki mera mobile to koi use nahi karta to password ki kya jarurat padegi Kyuki unka mobile to sirf ghar ke log ya dost krte hai aise me apko bhut saari dikkato ka samna karna pad sakta hai. Kyuki jab apka phone password protected rehta hai to apki google account bhi safe rehti hai aur apko bhi pta hai agar koi apki google account le le to wo kya kuch nhi kar skta apke phone ke saath.


Never Use Public Free Wifi.

Kya apko pata hai jab aap free wifi use krte hai jise bahut sare log connected rehte hai wo apke data ke sath chhedkhaani kar sakte hai . Jab bhi aap kisi free wifi se connect hote hai to agar koi user chahe to apka phone hack kr skta hai . Chalo isko ek example se smjhte hai, Maan lo ki agar aapne google me search kiya 'Flowers image' aur fir disre wifi user chahe to apka search kisi ek dusri website pe transfer kar skta hai . Jaise ki wo chahta ki aap kisi aur website pe chale jaaye to wo kya krega ki koi se bhi random Website par apko transfer Kara dega . Jaisa ki maine phle hi bataya aapne Search kiya 'flowers image' Lekin apko aa rha hai snakes ka image . Iska mtlb ye hai ki usne apke search results ko forward kr diya hai kisi bhi random Website pe. Isi liye aapko Free ka public wifi use krne se bachna hai.


Always  Use Two - Step Verification.

Sabse pahle mai apko ye bata du ki akhir ye 'Two step Verification ' kya chij hai uske bad mai apko bataunga ki kaise apko iska use krna hai.

Har kisi ke mobile me Google account to jarur hi login hota hai aur uska koi na koi ek password hota hai To aapko karna ye hai ki aapne google account me jana hai aur Two steps Verification ko on kr lena hai. Ise hoga ye ki jab bhi kisi ko apka Gmail aur password pata chal jaaye tab wo apke account ko login na karle is chij se apko Bachayega Two steps Verification. Jab bhi koi login krne ka kosis krega to apko ek notification aa jayega aur apke sim card pe ek sms aayega jisme 1 OTP rhegi jiski jrurt us insan ko pregi jo apka account login krne ki kosis kar raha hai. Aisa karke aapne apne phone ka privacy 1 step aur majbut kar diya hai.


Always Give Limited Permission to Apps.

Jab bhi aap koi app install kre to dhyan rakhe ki kya wo app khi apke phone ke bahut jyada permission to nhi mang rha. Maan lo apne gallery app install kra aur jab app open kiya to is aap ne apse Files ki permission mangi aur aapne diya kyuki Jab tak ye files ko access nahi krega tab tak ye apke photo kaise dikhayega. Lekin Is app ne Phone ki permission mangi fir contact ki Aur Call logs ki , Aap khud socho ki aisi apps ko in sab permission ki kya jarurat. Ab jaise apne apne mobile me WhatsApp install kara hai aur usne ye sare permission manga kyuki us se aap call kr skte ho to apke call log ki permission mangi usne aur Contact ki permission li kyuki jo apke contact me hai unko whatsapp pe aap dhundhoge kaise . Bas aapko isi baat ka dhyan rakhna hai ki jab bhi aap bhar se third party se koi app install krte ho to aap jarur se permission ko dekh kar aur soch samajh kr permission Diya kro ise apka Data Safe rhega aur mobile bhi ache se lambe samay tak kaam krega.


Always Use App Lock Features.

Doston aaj kal har mobile phone me Ye features available rehta hai jisko aap asani se use krrke aap apne mobile ke kisi bhi app ko lock kar sakte hai. Iska bahut jyada fayda hai kyuki jab bhi koi ristedar ya Koi dost apka mobile chalata hai aise me wo apke WhatsApp, Facebook, Instagram, Gallery , Contact etc . Ko open krke wo apke data ke sath chhedkhaani kar skta hai aur apko ye sayad pata bhi na chale aise me behtar yahi hai ki aap hamesa App Lock Features ka istemal kre .


Keep your Financial Apps Up to dated.

Aajkal ke jamane me kon apne mobile se Online shopping ya Online payment nhi karta, Badhte hue technology me sab Ab online payment ka istemal kr rhe hai. Agar aap bhi in logo me se ek hai jo Online payment krte hai wo Chahe Paytm, PhonePe , GPay Etc app ka use krte hai to aap hamesa is Apps ko updated rakhe , Kyuki jab bhi in apps ki update aati hai to ye apps apko Notification send krte hai ki aap inka app update kro aur aap ignore kar dete ho . Par apko aisa nahi karna hai agle baar se jab bhi ye apps apko update krne ko bole aap instantly update kro. Ise apko ye fayda hoga ki apps me ya Inke network me koi bhi bug kbhi bhi aa skta hai aur ye Providers us problem ko fix krke apko update dete hai taaki apko kisi bhi preshani ka samna na karna pade. Aise me aap apne Financial apps ko Update krke aap apna data Safe Rakh sakte ho.


Never Use Same  Password For Different Platforms.

Bahut saare log aise bhi hai jo apne sare Account ka password same rakhte hai . Jaise ki man lo maine apne Facebook, instgram, gmail aur Bhut sari website pe same password rakha hai aur kisi ko wo 1 password pata chal gya fir to wo apki saare account ko access kr skta hai, Kyuki apne bahut badi mistake kr di hai same password rakh kar. Aise me aap hmesa alag alag Password use kre alag alag website and apps ke liye.


Always Keep Hard Password.

Jyadatar Log apne password bahut hi easy rakhte hai jiske wajah se unko aage chal ke dikkat aati hai. Aise me mai apko batane wala hu ki aap apna password ko kaise hard banaye . Cahlo ek example se samjhte hai is baat ko. Maan lo Maine apne Facebook ka password rakha 'abcdef' lekin ye to bahut asaan ho gya to aap isko hard kaise bana sakte ho, To is password ko hard banane ke liye aap use kar skte ho kuch numbers aur @,#,&,* etc. Jaise maine apna password rakha 'abcd@123ef#' Ye password bahut hi strong hai aur aap chahe to aap aisa password rakh sakte ho. Lekin ek baat ka dhyan rakhe ki password aisa rakhe jo hmesa aapko yaad rahe aur aap bhule na.

0 Response to "How to protect your personal data on your Android phone"

Post a Comment

Iklan Atas Artikel

Iklan Tengah Artikel 1

Iklan Tengah Artikel 2

Iklan Bawah Artikel