How to Fix any Poco Device Screen/Camera Problem?


How to Fix any Poco Device Screen/Camera Problem?

Description

Sabse pahle mai apko ye bata du ki ye dikkat lagbhag sare Poco ke mobiles me aati hai jo ki mai apne experience se keh rha hu. Jaise ki Example me mai kuch phone ke nam rakh raha hu , Poco x2 , Poco x3 , Poco x3 pro etc in saare mobiles me ye problem apko dekhne ko mil jayegi jiske wajh se apko bahut saari dikkato ka samna karna pad sakta hai aise bhi aaj ke is article me mai apko batane wala hu ki kab aur kaise ye problem apke phone me aati hai aur iska solution kya hai ekdm saste me bane . To chaliye Iska solution batane se pahle mai kuch points ko cover kar deta hu.

When this problem is coming in your phone? 

Mainly is problem ke piche kuch reason hai jiske wajah se apke phone me ye problem aa jaati hai to mai in dono problem ko ek ek karke batata hu jise apko idea lag jayega ki apke phone me ye dikkat kab aur kis wajah se aa rhi hai .

Reson 1:- Guys dekho jab aap apne phone ko update krte ho To apko bhi pata hai ki MIUI ki version upgrade ho jaati hai aur jabse Android 11 ka update poco smartphone ko mila hai tab se apko lag issue aur bahut saari error dekhne ko mil rhe hai .

Reason 2:- Jabse MIUI 12 aaya hai tabse kuch na kuch erorr hamesa dekhne ko mil rhe hai chahe wo Launcher ka ho ya Camera ka crash hona to dusra reason ye bhi hai ki jab apne Apna MIUI update kara to ye dikkat ka samna apko karna pad rha hai .


What is the problem that is coming after updating ?

To sabse pahle hi maine apko bataya ki jo 2 problem hai wo update ke wajah se aa rhi hai aur isi ke bare me mai detail me bata rha hu ki kon si dikkat hai .

1. Sabse pahla dikkat hai wo ye hai ki apka camera kaam karna band kar dega jab aap apne camera ko open Kroge to black screen dikhai dega ya camera crash hokar close ho jayega lekin ye dikkat sirf camera ka hai . Par baki sari chije ekdm shi se kam kregi like aap game khel skte ho movie dekh skte ho aur social media use kr skte ho bas aap camera ka istemal nhi kar skte.

2. Dusra problem ye hai ki apke phone ka touch screen kaam karna band kar dega aur aap apne phone ko access nhi kar payenge touch screen se iske liye apko OTG connector ki jarurat padegi aur aap apne mobile ko mouse aur keyboard ke madad se chala payenge. Jaisa ki maine bataya ki ye problem sirf Touch screen ki hai lekin baaki sare features shi kaam krenge jab aap keyboard aur mouse se apne phone ko chaloge. 

What will happen when you Submit your mobile to the service center ?

Doston jaise hi aap service centre me jaoge aur unse apna mobile ka dikkat bataoge fir service centre wale apse khenge ki aap mobile Yha par submit kar do aur ham aage ka process kr dete hai. Fir wo aage ka process kr denge aur wo apka ticket no Aage Brand ke pas forward krenge aur apka Phone agar warranty me hai to Ekdm free of Cost apka phone apko repair krke apko de diya jayega.

What if my phone is out of warranty ?

Jab apka phone out of warranty hoga to process apke liye bhi same rhega lekin jab Wo appeal krenge ki User ne bataya ki Update krne ke baad ye dikkat hamare mobile me aa rhi hai to apke us appeal ko next day Brand reject kr degi aur Service centre wale apse khenge ki apka Mobile free me repair nhi kiya ja skta. Iske liye apko Rupaye pay krne honge. Jiski keemat kriban apke phone ke price ke aadhi rhegi . Jo ki bahut jyada costly hai.

In such a situation, what should you do ?

Aise situation me aap apne mobile ko bilkul bhi service centre me repair na karaye kyuki jo charges wo log le rhe hai wo bhut hi jyada hai aur aap shyad hi afford kr payenge. Mere tarah aap bhi sochenge ki jitne paise mai apne purane phone ko bnwane me laga rha hu utne me to kuch aur milakar naya le lu. 

Aiyie mai apko ek solution batata hu ki kaise aap apne phone ko ekdm saste me repair kra skte hai lekin use pahle mai bata du akhir ye problem aati kyu hai aur service centre wale itna jyada apko charge kyu krte h chhote se problem ka repair krne ka.

Due to which part of the mobile, this problem comes in your phone?

Ye jo dikkat hai Screen touch ka kam nhi karna aur apke camera ka kam nhi karna ye mainly CPU ke wajh se aata hai. Jisko Service center wale repair krke nhi dete aur bolte hai apke phone ka pura mother board change karna padega. Agar apke CPU ko reball kar diya jaaye to apke dono problem thik ho jayenge par ye chij sirf bahar ke koi mobile repairing shop wale kar skte hai . Apka camera aur touch screen dono ka same solution hai.

What did you do to repair your phone?

Sabse pahle apne jana hai kisi bhi najdiki mobile repairing centre me aur unse apka problem btana hai aur bolna hai ki kya aap mere CPU ko reball kr doge aur kya apne ise pahle kbhi reballing kiya hai . Ye baat jrur confirm ho le taaki apke mobile me koi dikkat na aaye. Aur agar aise situation me agar kisi ne apka mobile repair nhi kara to ghabrana nhi hai kyuki usi ka solution mai apko batane wala hu. Nichey maine ek contact no diya hai Sabse phle apko us no pe contact karna hai aur unko apka problem batana hai fir wo apse bolenge ki unke address pe phone ko parcal kar do Aur wo apko banakar apko parcal kar denge. Darne ki koi baat nahi kyuki mai ye article unhi ke dwara repair kre hue mobile se likh rha hu. Aur wo bahut hi kam charges krenge apko 2350 rs only. Aur fir bhi agar apko ykin na ho to aap unke YouTube channel par bhi jaakar proofs dekh skte hai . Jab bhi apka phone is article ke help se repair ho jaaye to ek baar jrur aakar yaha comments krke Kisi aur ki madad kre.

Contact:- 9448085861

His Channel:- Here

Agar apko kisi bhi prakar ki dikkat hai to aap mujhse jarur contact kre. Mai kosis krunga ki mai jald se jald apke Sawalo ka jawab de sku. Thankyou.

0 Response to "How to Fix any Poco Device Screen/Camera Problem?"

Post a Comment

Iklan Atas Artikel

Iklan Tengah Artikel 1

Iklan Tengah Artikel 2

Iklan Bawah Artikel