How to boost mobile performance ?


How to improve mobile performance ?

Hey , Guys sabse pahle mai apko ye bata du ki mobile ka performance kam kyu ho jata hai. Jaisa ki aap sab jante hoge jab tak apka mobile naya rehta hai tab tak bhut acha aur smoothly kaam karta hai par samay jaise hi bitega waise apke mobile ka performance down hota chala jayega. Lekin aap chahe to apne mobile ke performance ko thoda bhut improve khud se bhi kar sakte hai . 
Aaj mai apko kuch aise points bataunga jiski madad se aap apne mobile ki performance ko 50% tak boost kr skte hai .
Why does the performance of mobile decrease? 

Doston isko mai ekdm aasan language me smjha rha hu ki aap bina dikkat se samjh jaao mai isko Bhut tough language me nhi batane wala.

Reson 1:- Jab aap apna mobile Kharid kr ghar laate ho tab aap notice krte hoge ki apke mobile ka OS hai jo man lo Android 10 pr hai aur jab Apke phone me update aaya ki ab aap Android 11 me update kr skte hai to is type ki update se bache aur Agar koi chhoti update aaye jaise ki apke phone me kuch improvement kre gye ho to aap us type ki update kr skte ho par kbhi ye OS wali update krne se bache. Man lo mere mobile me Android 10 run kar rha hai aur mere mobile me ek update aaya hai jisme kuch improvement kre gye hai aur jab ham update krenge to hmara mobile Android 10 par hi rhega lekin jo update brand ne diya wo hamne install kr liya phone me tab koi dikkat nhi ayegi . Bas jaisa maine apko smajhaya ki apko OS ko update krne se bachna hai .

Reason 2:- Jab bhi apke Mobile ke apps ke update aate hai aur aap hmesa update krte jaate ho Tab shyad aap sochte hoge ki mera mobile aur app bhut badhiya work krega aur smoothly kaam krega lekin aisa hota nhi hai . Apko mai bata du ki jab aap kisi bhi app ko bht jyada update krte ho to uske cache file bhi apke smartphone me store ho jaati hai jiske wajah se apka device slow ho jata hai aur aapko Lag experience krna padta hai. Mai apko ek sabse aasan trika batata hu ki kaise aap apna app update krke rkhenge aur Slow bhi nhi hoga devices. Sabse phle aao jis app ko update krna chahe ho to aap uska update uninstall kr do ya pure app ko uninstall kr do fir usko update kro. Aisa krne se ko purani cache file delete ho jayegi aur jab aap naya app install kroge to firse usko nyi files aa jayegi aisa krke aap apne phone ko slow hone se bacha skte ho.

Reason 3:- Sabse jyada apko dikkat isi wajah se aati hai aur aksar apko ye chij pata nhi hota aur aap bewajah paresahan rehte ho . To chalo mai aapko batata hu akhir ye dikkat kya h. Maan lo apke mobile me 2 GB ram hai aur aane dher saari apps install krke rakha hai aur 1 sath aap dher sari apps use krrhe ho aur wo sare apps apke background me run krrhe hai aur apka ram kyuki bahut kam hai to Us app ko ache se process nhi kar paa rha . Aise me aap 1 time pe 1 ya 2 app use kro aur fir jab apko koi aur app use krna ho tab aap pichle wale app ko close kr do background se . 

Ye saare to ho gye ki mobile ka performance kaise kam ho jata hai aur ab ham baat krte hai ki kaise ham apne mobile ke performance ko boost kr skte hai wi bhi chhoti chhoti points ko dhyan me rakh kar.

How to boost performance?

1. Re-start Your phone

Apne kbhi na kbhi ye jarur feel kiya hoga ki jab bhi apke mobile me koi chhoti si bhi dikat aa jaye to aap apna mobile restart jrur krte hoge aur uske wajah se apka mobile thik bhi ho jaata. Waise hi jab aapka phone lage ki ab thora slow ho gya to aise me aap 1 bar apne mobile ko jrur re-start kre . Re-start krne se apke phone me to cache aur temporary file delete ho jati hai aur apke mobile ka performance boost ho jaata hai .

2. Always Keep Your home screen clean.

Kya aap bhi unlogo me se ek hai jo apne home screen pe dher saari apps rkhte hai. Agar aapne bhi dher saari apps ko agar apne home screen pe rakha hai to abhi use remove kre . Kyuki jab bhi aap apna phone re-start krte hai to Ekdm se bht saari apps load hone lgti hai jo apke home screen pe apne shortcut rakha hai .

3. Clear Cache 

Doston jab bhi aap kisi app ko use krte ho to us app ja Cache file apke internal storage me store ho jata h jiske wajah se apka mobile lag krne lagta hai. To aap is baat ka dhyan jarur rakhe ki kya aap time time pe apps ka cache data clean to kr rhe hai .

4. Keep Your Internal Storage Free

Phone ke lag krne ka ek main reason ye bhi hai ki jab aapke mobile ka internal storage full ho jata hai to apps ko ram process nhi kr paata jiske wajah se aapka mobile lag krne lag jata hai . Aap apne phone me hmesa 4 ya 5 GB free rkhe taki apka RAM apps ko ache se process kr paaye.

5. Don't install apps from unknown Sources

Aap sab bhi shyad apne mobile me Play Store ke bahar se apps install krte honge jo bilkul mobile ke performance aur mobile ke privacy ke liye bilkul bhi thik nhi h . To aap aaj se hi sirf aur sirf play store se hi apps download kre aur apne phone ko slow hone se bachaye.

6. Don't use heavy or Animated Themes

Aajkal har smartphones me customised themes ka option milta hai aur sab bhut jyada use krte hai . Aise me themes me bhut jyada animation ke wajah se apka phone lag krnee lag jata hai jispe apka dhyan bilkul nhi jata hai . Iske sath hi aap apne phone me ekdm dark wallpaper use kre aur live wallpaper to bilkul use na kre jisme animation aati hai.

7.Reset your Device

Agar kbhi bhi apko feel ho ki mera mobile pahle se ab bhut jyada lag hone laga hai to aap apne phone ko reset bhi kar skte hai . Reset krne se apke phone ke cache aur Dump File clear ho jayenge aur apka mobile smooth kam karne lgega . Reset krne se phle Apna personal data backup jaroor krle.

Av uper is article me maine aapko 7 aise reason bataye hai jisko follow krke aap apne mobile ko bilkul smooth bna skte hai chahe apka koi bhi smartphone ho. Chahe wo Samsung, Redmi , Poco, Realme , Oppo ya Vivo ho. Ye trick sare Android phone me kaam krega . Is trick ko Follow krke agar apko khi bhi lage ki is article ko Padhkr apka knowledge hua Is bare me to please ek Comment krke mujhe motivate kre .

0 Response to "How to boost mobile performance ?"

Post a Comment

Iklan Atas Artikel

Iklan Tengah Artikel 1

Iklan Tengah Artikel 2

Iklan Bawah Artikel