How to Choose a Perfect Smartphone?


How to Choose a Perfect Smartphone?

Hello dosto jaisa ki aap sab jante honge ki aaj kal ke jamane me kiske pas smartphone nahi hai , har kisi ke pas ek badhiya smartphone hai aur to aajkl ke bache bhi apne liye personal smartphone rakh rhee hai. Aaj ka jo hamara topic hai especially un logo ke liye hai jo ki ek smartphone kharidne ki planning kar rhe hai aur wo decide nahi kr paa rhe ki kaise ek badhiya sa smartphone kharide. Aaj mai aapko kuch aise tips dunga jiske madad se apko apne liye ek smartphone Choose krne me bahut hi madad milegi. To chaliye mai apko kuch aisi baate bata du jo ki ek smartphone me agar ho to wo Smartphone aap Ekdm le skte hai binna kuch soche .


1. Always Choose Slim Smartphone.

Yaar dekho maine aisa kyu bola ki slim smartphone Choose kro iske piche ek karan hai jisko mai aapse share kar rha hu. Doston jab bhi aap bhari Mobile kharid lete ho jab aap usko sote hue use krte ho to uske wajah se apki unglion me drd hone lagta hai ya Apko irritating lagta hai , aur to dekhne me bhi acha nahi lagta. Agar ham baat kre slim smartphone ki to uski bahut saari khasiyat hai jaise ki dikhne me slim mobile bahut hi badhiya look deta hai. Jab aap sote hue mobile use kroge to halka hone ke wjah se apke unglion me dard nahi hoga aur aap asani se use kr paoge.


2. Choose atleast 128 GB storage.

Jha tak storage ki baat kari jaaye wha mai sabse pahle apko ek baat bolungaa ki aap dhyan rakhe ki apke mobile me enough storage ho taaki aap apne important files ko store kar paaye. Ajkal ke jamane me kariban saare smartphone apko acha storage offer karti hai jo ki aap uske sath jaa skte ho. Kyuki abhi ke time pe sare mobile ka camera bahut improved ho chuka hai jise jab bhi aap photos capture krte ho to us pictures ka size bahut jyada hota hai aur bahut space cover karta hai aise me aapko ek Ache storage waale smartphone ki jarurat padne waali hai.


3. Choose atleast 6 GB RAM

Doston aajkl ke chhote chhote apps bhi bahut jyada RAM consume krte hai jiske wajah se apki baaki apps aur mobiles slow ho jata hai, aise me aapko bhut saari dikkato ka smna karna pad jata hai. Jaise ki apka phone hang hone lagta hai aur battery consumption bahut jyada ho jaati hai.Agar apke mobile me jitna badhiya ram Hoga apka phone utna badhiya kaam krega.


4. Battery should be at least 4500 mAh 

Agar baat kre battery ki to har kisi ko apne phone me badhiya battery backup chaiyie hota hai aur aise me bahut saari smartphone hai jisme saari specifications achi rehti hai par battery hi bahut jyada kam de dete hai . Doston jab bhi aap phone kharide to battery ka bhi khas dhyan rakhe ki battery to achi mil rhi hai na . Agar aap bahar khi bhi jaate hai to bina gaming ke Battery sara din chal jaaye aap bhi yhi umid kroge to is baat ka dhyan rakhna ki apke phone ki battery 4500 mAh se jyada ho. Agar aap gaming karte ho tab khi jaake apko samjh aayegi battery life ki kya jarurat padegi.


5. Always choose Fast Charging Mobile with 27 W chargers or More.

Doston pahle jo phone aate the usme bahut hi slow charger milte the aur phone ko full charge hone me 2-3 ghante bhi lag jaate the lekin aaj time badal chuka hai aur technology bahut aage aa gyi hai aur phones me ab fast charger aane lage hai jo apke phone ko 30 minutes me full charge kar dete hai. Aap phone kharidte time is bat ka bhi jarur dhyan rakhe ki Apka phone fast charging ko support krta ho. Maan lo aap khi bhi bar jaate ho aur khi 15-20 mint ke liye bhi ruko to apka phone itna jarur charge ko jaaye ki aapka kaam chal jaaye. Isliye ek fast charger wale smartphone hamesa choose kre.


6. Always Choose Latest Processor.

Aajkal bahut saare mobile aise bhi aa rhe hai market me jisme saari chije up to dated mil rhi hai par processor koi sa bhi purana laga dete hai. Aise me aapko company ke is scam se bachna hai jab bhi aap koi phone le to is baat ka dhyan rakhe ki usme jo processor hai wo kab ki hai aur bahut jyada purani to nahi. Doston agar processor hi purana ho to aap smjh skte ho saari specifications hone ke baad bhi apka phone bas ek Outdated mobile ban ke reh jaayga.


7. Choose a Smartphone with Good Camera quality.

Aajkl ke jamane me har koi camera ke shaukeen ho gya hai aur har koi chahta hai ki wo apni photos High quality me le. Aise me dosto jab bhi aap smartphone kharide to is baat ka jarur dhyan rakhe ki aap jo Smartphone le rhe hai uska camera ka quality kaisa hai. Jab bhi aap khi ghumne jaate ho to aap bilkul chahoge ki aap jo bhi picture le wo achi aaye to aise me apko ek Acha Camera bhi bahut jaruri hai kisi bhi smartphone ke liye.


What to do if all these features are found in many Smartphone?

Sabse pahle apko apna budget set krna hai ki aapka mobile khridne ka budget kitne ka hai fir apko ascending order me mobile ke list bna lene hai aur jo apke budget ko fit aa rha hai wo aap le skte hai. Ek aur tarika mai apko bta rha hu jise apko smartphone ko choose krne me aasani ho. 

1. Sabse pahle aap pta kre ki jo smartphone aap lene wale hai uska service centre apke ghar se kitne duri pe hai aur wo kaisa service dete hai.

2. Dusri baat ki aap ye dekh le ki apko kon sa brand sabse acha lagta hai aur aap kis brand ko suport krte ho. 

3. Smartphone kharidte time kabhi bhi jaldibaji na kre aur soch smjh kar research krke hi smartphone kharidne jaaye.

4. Kisi bhi mobile seller ke baton me naa aaye , kyuki uska kaam hi hai apko convenience krke mobile sell krna . aap apne ghar se research krke mind set krke jaaye.

5. Agar aap online mobile kharidne jaa rhe hai to dhyan rkhe ki apko kon sa variant apke usage ke hisab se apko fit aa rha hai kyuki aajkl bahut saaree variant ke smartphone aa rhe hai. Example ke liye mai apko bta de rha hu jaise 4GB RAM and 64 GB ROM , 6 GB RAM and 128 GB ROM. To aap dekh ke ki kon sa Variant aapke usage ke hisab se badhiya hai.

Itna sara chij agar aapne samjh liya hai to mai umid karta hu ki aap ab smartphone kharidne jayenge to ek badhiya Smartphone choose kr payenge. Dost mobile to baar baar change karna nahi hai na to kyu na 1 baar me aisa smartphone le ki aage kbhi aapko Aisa Lage hi na ki yar ab mujhe apna mobile badal dena chaiyie. To jaao abhi se research karna suru krdo ki konsa smartphone aap khridne waale ho.


What to do when found a perfect Mobile with best Specs?

Abhi jo mai apko batane jaa rha hu ye apko is post ka sabsee best part lagne wala hai to chalo mai apko bta du ki aap kya kro jab apko koi 1 smartphone pasand aa jaaye. Dekho aaplog YouTube to jarur use krte hoge to jaisa ki apko pata hai aajkl jitne bhi smartphone market me aate hai bahut sare youtubers Smartphone ke 'pros' and 'cons' batate hai to aap ek baar un logo ko videos dekho ki kya kuch features apko us smartphone me mil rha hai jo apko impress kr rha hai ya sad. Kabhi bhi aap 1 video dekh kar judge na kare kam se kam 2-3 videos dekhe aur unke baato ko dhyan se samjhe ki akhir kya acha bura apko brand kisi smartphone me offer kr rhi hai. Umid karta hu ki aap samajh gye hoge ki mai apko kya btana chahta ki ki kaise aap ek perfect smartphone choose kro khud ke liye. Ye saari chijo ka dhyan rkhe aur apne liye ek behtareen Mobile khride aur Enjoy kre.

0 Response to "How to Choose a Perfect Smartphone?"

Post a Comment

Iklan Atas Artikel

Iklan Tengah Artikel 1

Iklan Tengah Artikel 2

Iklan Bawah Artikel